Comperigen karna band karo
🌸 Comperigen — Apni Zindagi Ko Dusron Se Takarana Band Karo
Aaj ke daur mein sab kuch ek race jaisa lagta hai.
Koi kisise aage nikla, koi peeche reh gaya — aur beech mein hum sab, apne aapko har roz compare karte hue.
Yehi comperigen (comparison) hi hai jo insaan ke andar se sukoon, khushi aur confidence chura leta hai.
💭 Har kisi ki kahani alag hoti hai
Socho zara — ek phool subah khilta hai, dusra shaam ko.
Lekin dono hi apne samay pe khilte hain, dono khoobsurat hain.
Fir hum apni zindagi ko doosron ke hisaab se kyun tolte hain?
Har kisi ki kahani alag hoti hai
Socho zara — ek phool subah khilta hai, dusra shaam ko.
Lekin dono hi apne samay pe khilte hain, dono khoobsurat hain.
Fir hum apni zindagi ko doosron ke hisaab se kyun tolte hain?
Kisi ka career 25 saal mein chamak jaata hai,
kisi ka 40 saal mein.
Koi shaadi mein khush hai, koi apne akelepan mein peace dhoondh raha hai.
Aur dono apne-apne raaste sahi chal rahe hain.
Lekin hum apna confidence tab kho dete hain jab hum sochne lagte hain,
“Uske paas yeh hai, mere paas kyun nahi?”
🌿 Comparison se paida hoti hai nakami ki feeling
Jab hum compare karte hain, hum apne andar ki beauty ko ignore kar dete hain.
Humein lagta hai hum kamzor hain, piche hain, ya kuch galat kar rahe hain.
Par asal mein har ek insaan apne time zone mein hai.
Kisi ka waqt aaj hai, kisi ka kal hoga.
Aur yahi divine timing hoti hai.
Comparison se jealousy, insecurity aur overthinking badhti hai.
Aur in teeno cheezon ka asar sabse pehle humari energy pe padta hai.
Jo banda pehle confident aur positive tha,
wo dheere-dheere doubt aur fear mein badal jaata hai.
💫 Apni journey par bharosa rakho
Zindagi ne sabko apna ek raasta diya hai.
Aapka raasta aapke liye bana hai — isliye wo kisi aur jaisa ho hi nahi sakta.
Apne aap se pyaar karna seekho.
Apne growth ke small steps celebrate karo.
Kyunki jab hum apne safar ko respect karte hain,
tabhi zindagi bhi humein respect karti hai.
Comperigen band karo.
Doosron ki success dekhkar inspire ho jao,
lekin apni journey se kabhi faith mat khona.
Apna time aayega — aur jab aayega,
wo kisi aur se alag, par bahut khaas hoga. 🌈
🌼 Ek simple reminder
“Flowers don’t compare who blooms first — they all just bloom when it’s their time.”
Aap bhi bloom karogi — apne waqt pe, apne andaaz mein.
So, stop comparing and start believing. 💖
View Sitemaps
Post a Comment